Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere bazuon ka sahaara to le lun magar un mein bhi rach gai hai thakan

Arif Abdul Mateen

tere bazuon ka sahaara to le lun magar un mein bhi rach gai hai thakan

Arif Abdul Mateen

MORE BYArif Abdul Mateen

    tire bāzūoñ sahārā to le luuñ magar un meñ bhī rach ga.ī hai thakan

    maiñ sahrā se bach kar chaman meñ to aa.uuñ pa sahrā se kuchh kam nahīñ ye chaman

    mirī ziist raah tārīk thī chāñd ban kar tum aa.e to raushan huī

    ye raah aaj phir tīra-o-tār hai ġhāliban chāñd ko lag gayā hai gahan

    har ik samt nāgin sūrat lapaktī huī tīrgī se hirāsāñ na ho

    ajab kyā ki lau de uThe mere lams-e-farozāñ se terā sulagtā badan

    ye ashkoñ se bhīgī huī muskurāhaT muravvat e.ajāz hai varna

    ġhamoñ havāoñ meñ uḌtā huā dekh kar aa rahe haiñ koī pairahan

    firāq-e-lab-o-zulf par munhasir kam paa.ī hai ahl-e-vafā taḌap

    tum āġhosh ke tañg halqe meñ ho phir bhī har lamha afzūñ hai dil jalan

    tere bazuon ka sahaara to le lun magar un mein bhi rach gai hai thakan

    main sahra se bach kar chaman mein to aaun pa sahra se kuchh kam nahin ye chaman

    meri zist ki rah tarik thi chand ban kar tum aae to raushan hui

    ye rah aaj phir tira-o-tar hai ghaaliban chand ko lag gaya hai gahan

    har ek samt nagin ki surat lapakti hui tirgi se hirasan na ho

    ajab kya ki lau de uThe mere lams-e-farozan se tera sulagta badan

    ye ashkon se bhigi hui muskurahaT murawwat ka eajaz hai warna

    ghamon ki hawaon mein uDta hua dekh kar aa rahe hain koi pairahan

    firaq-e-lab-o-zulf par munhasir kam hi pai hai ahl-e-wafa ki taDap

    tum aaghosh ke tang halqe mein ho phir bhi har lamha afzun hai dil ki jalan

    Source :
    • Book : Noquush (Pg. B-362 E376)
    • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
    • Edition : May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now