tere baghair hai ab ye meri KHushi ai dost
tire baġhair hai ab ye mirī ḳhushī ai dost
ḳhushī mile na mujhe umr bhar kabhī ai dost
tirā ḳhayāl thā maqsūd-e-zindagī apnā
tirī talab thī añdhere meñ raushnī ai dost
ab is ke ba.ad kise aarzū hai jiine kī
tirī nigāh-e-karam tak thī zindagī ai dost
tirī judā.ī meñ aksar ye sochtā huuñ maiñ
na jaane kaise kaTegī ye zindagī ai dost
jo tujh ko DhūñDhnā chāhā to kyā gunāh kiyā
tirī talāsh koī jurm to na thī ai dost
hañsā bhī huuñ maiñ bahut is hayāt-e-fānī meñ
ab aa.egī na laboñ par kabhī hañsī ai dost
baḌā sitam hai mile tujh se tere 'shāriq' ko
tire jamāl se mahrūm zindagī ai dost
tere baghair hai ab ye meri KHushi ai dost
KHushi mile na mujhe umr bhar kabhi ai dost
tera KHayal tha maqsud-e-zindagi apna
teri talab thi andhere mein raushni ai dost
ab is ke baad kise aarzu hai jine ki
teri nigah-e-karam tak thi zindagi ai dost
teri judai mein aksar ye sochta hun main
na jaane kaise kaTegi ye zindagi ai dost
jo tujh ko DhunDhna chaha to kya gunah kiya
teri talash koi jurm to na thi ai dost
hansa bhi hun main bahut is hayat-e-fani mein
ab aaegi na labon par kabhi hansi ai dost
baDa sitam hai mile tujh se tere 'shaariq' ko
tere jamal se mahrum zindagi ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.