tere baghair hun zinda magar ye haalat hai
tire baġhair huuñ zinda magar ye hālat hai
ye aatī jaatī huī saañs bhī aziyyat hai
maiñ zindagānī ke ab āḳhirī paḌāv pe huuñ
kahāñ ho tum ki tumhārī mujhe zarūrat hai
tire baġhair bhī ik raat jī ke dekh liyā
tire baġhair bhī ye raat ḳhūb-sūrat hai
badan ke saare taqāze to ho ga.e puure
magar abhī bhī tumhārī mujhe zarūrat hai
tire baġhair to mumkin na thā mirā jiinā
tire baġhair bhī zinda huuñ mujh ko hairat hai
usī kī yaad hai ab 'nūr' mashġhala apnā
vo ek shaḳhs jise bhūlne kī 'ādat hai
tere baghair hun zinda magar ye haalat hai
ye aati jati hui sans bhi aziyyat hai
main zindagani ke ab aaKHiri paDaw pe hun
kahan ho tum ki tumhaari mujhe zarurat hai
tere baghair bhi ek raat ji ke dekh liya
tere baghair bhi ye raat KHub-surat hai
badan ke sare taqaze to ho gae pure
magar abhi bhi tumhaari mujhe zarurat hai
tere baghair to mumkin na tha mera jina
tere baghair bhi zinda hun mujh ko hairat hai
usi ki yaad hai ab 'nur' mashghala apna
wo ek shaKHs jise bhulne ki 'adat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.