tere baghair kabhi KHushbuon se main na mila
tire baġhair kabhī ḳhushbuoñ se maiñ na milā
chaman ke paas se guzrā guloñ se maiñ na milā
kisī maqām pe farzāngī na raas aa.ī
kisī nishast meñ dānishvaroñ se maiñ na milā
gumān thā ki zamīñ par vo chāñd utregā
falak pe chalte hue qumqumoñ se maiñ na milā
maiñ apnī zaat ke andhe kueñ kā qaidī huuñ
sitāre duur the aur jugnuoñ se maiñ na milā
'nizām' ḳhud kī parastish meñ aisā nashsha thā
butoñ ke biich rahā but-garoñ se maiñ na milā
tere baghair kabhi KHushbuon se main na mila
chaman ke pas se guzra gulon se main na mila
kisi maqam pe farzangi na ras aai
kisi nishast mein danishwaron se main na mila
guman tha ki zamin par wo chand utrega
falak pe chalte hue qumqumon se main na mila
main apni zat ke andhe kuen ka qaidi hun
sitare dur the aur jugnuon se main na mila
'nizam' KHud ki parastish mein aisa nashsha tha
buton ke bich raha but-garon se main na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.