tere baghair kahan ki ghazal-sarai hai
tire baġhair kahāñ kī ġhazal-sarā.ī hai
sadā se pahle kabhī bāzgasht aa.ī hai
tire jamāl kī tajsīm sahl kaam nahīñ
ye mo.ajiza bhī mire sher kī safā.ī hai
zamīñ ke hijr meñ rahnā mujhe qubūl nahīñ
falak se aage bhī yuuñ to mirī rasā.ī hai
maiñ apne aap ko tartīb de rahā huuñ abhī
mirā maqām vahāñ hai jahāñ ikaa.ī hai
tere baghair kahan ki ghazal-sarai hai
sada se pahle kabhi bazgasht aai hai
tere jamal ki tajsim sahl kaam nahin
ye moajiza bhi mere sher ki safai hai
zamin ke hijr mein rahna mujhe qubul nahin
falak se aage bhi yun to meri rasai hai
main apne aap ko tartib de raha hun abhi
mera maqam wahan hai jahan ikai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.