tere bayan mein hawala nahin to kuchh bhi nahin
tire bayāñ meñ havāla nahīñ to kuchh bhī nahīñ
mire vajūd kā qissa nahīñ to kuchh bhī nahīñ
vahī sarāpā vahī ḳhāl-o-ḳhad vahī qāmat
nayā badan nayā chehra nahīñ to kuchh bhī nahīñ
falak kī samt faqat dekhne se kyā hogā
tirī nigāh meñ ziina nahīñ to kuchh bhī nahīñ
añdheroñ aur ujāloñ kā raqs-e-bāham hai
ye roz-o-shab kā tamāsha nahīñ to kuchh bhī nahīñ
shu.ūr tīra-zada aur munjamid ehsās
dimāġh-o-dil meñ darīcha nahīñ to kuchh bhī nahīñ
zamīñ pe terī hukūmat hai kū-ba-kū lekin
diloñ meñ terā ilāqa nahīñ to kuchh bhī nahīñ
na sar pe gard na chhāle haiñ paañv meñ 'shāhid'
tire safar kā natīja nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tere bayan mein hawala nahin to kuchh bhi nahin
mere wajud ka qissa nahin to kuchh bhi nahin
wahi sarapa wahi KHal-o-KHad wahi qamat
naya badan naya chehra nahin to kuchh bhi nahin
falak ki samt faqat dekhne se kya hoga
teri nigah mein zina nahin to kuchh bhi nahin
andheron aur ujalon ka raqs-e-baham hai
ye roz-o-shab ka tamasha nahin to kuchh bhi nahin
shuur tira-zada aur munjamid ehsas
dimagh-o-dil mein daricha nahin to kuchh bhi nahin
zamin pe teri hukumat hai ku-ba-ku lekin
dilon mein tera ilaqa nahin to kuchh bhi nahin
na sar pe gard na chhaale hain panw mein 'shahid'
tere safar ka natija nahin to kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.