tire bīmār se uljhā huā hai
mire mohsin ko jaane kyā huā hai
safīna sāhiloñ tak aa to jaa.e
havā ne rāsta badlā huā hai
fazā meñ tishnagī phailī huī hai
musāfir dasht meñ Thahrā huā hai
ikaTThe ghūmte haiñ qais-o-lailā
zamāna is-qadar badlā huā hai
maiñ ab tak gir gayā hotā zamīñ par
kisī ke haath ne thāmā huā hai
tirī jānib qadam uThte nahīñ haiñ
mujhe hālāt ne rokā huā hai
adhūrī ḳhvāhisheñ kab tak sameTūñ
ye malba duur tak bikhrā huā hai
hamāre ghar ke andheroñ kā 'āsim'
pas-e-dīvār bhī charchā huā hai
tere bimar se uljha hua hai
mere mohsin ko jaane kya hua hai
safina sahilon tak aa to jae
hawa ne rasta badla hua hai
faza mein tishnagi phaili hui hai
musafir dasht mein Thahra hua hai
ikaTThe ghumte hain qais-o-laila
zamana is-qadar badla hua hai
main ab tak gir gaya hota zamin par
kisi ke hath ne thama hua hai
teri jaanib qadam uThte nahin hain
mujhe haalat ne roka hua hai
adhuri KHwahishen kab tak sameTun
ye malba dur tak bikhra hua hai
hamare ghar ke andheron ka 'asim'
pas-e-diwar bhi charcha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.