tere charagh se raushan hue sabhi ke charagh
tere charagh se raushan hue sabhi ke charagh
Khalid Nadeem Budauni
MORE BYKhalid Nadeem Budauni
tire charāġh se raushan hue sabhī ke charāġh
hamāre kaam na aa.e tirī galī ke charāġh
añdherā bāñTnā fitrat hai duniyā vāloñ kī
ujālā de nahīñ sakte haiñ dushmanī ke charāġh
ġham-e-hayāt ke jaur-o-sitam se tang aa kar
bujhā ke rakh diye maiñ ne bhī bebasī ke charāġh
tamām umr ujālā na ho sakā hāsil
tamām log jalāte rahe ḳhudī ke charāġh
har ek samt muḳhālif havā.eñ haiñ 'ḳhālid'
jaleñ to kaise jaleñ merī zindagī ke charāġh
tere charagh se raushan hue sabhi ke charagh
hamare kaam na aae teri gali ke charagh
andhera banTna fitrat hai duniya walon ki
ujala de nahin sakte hain dushmani ke charagh
gham-e-hayat ke jaur-o-sitam se tang aa kar
bujha ke rakh diye main ne bhi bebasi ke charagh
tamam umr ujala na ho saka hasil
tamam log jalate rahe KHudi ke charagh
har ek samt muKHalif hawaen hain 'KHalid'
jalen to kaise jalen meri zindagi ke charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.