tere dar ke siwa sajdon ko bahlane kahan jate
tere dar ke siwa sajdon ko bahlane kahan jate
Nazakat Ullah Khan Faiz
MORE BYNazakat Ullah Khan Faiz
tire dar ke sivā sajdoñ ko bahlāne kahāñ jaate
ham āḳhir uqda-e-mushkil ko suljhāne kahāñ jaate
ba-juz dasht-e-mohabbat dil ko bahlāne kahāñ jaate
jinheñ Thukrā diyā tū ne vo dīvāne kahāñ jaate
tirī be-iltifātī kā karam ham par huā varna
dil-e-ġham-āshnā ko ġham se bahlāne kahāñ jaate
mashiyyat rizq pahuñchātī na gar aflāk meñ mujh ko
to mere naam ke likhe hue daane kahāñ jaate
ġhanīmat hai jo rakh lī bekasī kī laaj maujoñ ne
mirī mayyat ko varna log dafnāne kahāñ jaate
ḳhud apnī bastiyāñ vīrān karke josh-e-vahshat meñ
na jaate chāñd par to phir ye dīvāne kahāñ jaate
ajal ko rahm aayā bekasoñ ke haal par 'faizī'
vagarna bazm se uTh kar ye dīvāne kahāñ jaate
tere dar ke siwa sajdon ko bahlane kahan jate
hum aaKHir uqda-e-mushkil ko suljhane kahan jate
ba-juz dasht-e-mohabbat dil ko bahlane kahan jate
jinhen Thukra diya tu ne wo diwane kahan jate
teri be-iltifati ka karam hum par hua warna
dil-e-gham-ashna ko gham se bahlane kahan jate
mashiyyat rizq pahunchati na gar aflak mein mujh ko
to mere nam ke likhe hue dane kahan jate
ghanimat hai jo rakh li bekasi ki laj maujon ne
meri mayyat ko warna log dafnane kahan jate
KHud apni bastiyan viran karke josh-e-wahshat mein
na jate chand par to phir ye diwane kahan jate
ajal ko rahm aaya bekason ke haal par 'faizi'
wagarna bazm se uTh kar ye diwane kahan jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.