tere dar pe jalwa jo hum dekhte hain
tire dar pe jalva jo ham dekhte haiñ
ḳhudā kī ḳhudā.ī meñ kam dekhte haiñ
jo ham shab ko ḳhvāb-e-adam dekhte haiñ
to har samt sair-e-iram dekhte haiñ
pas-e-marg ḳhalvat meñ baiThe haiñ aise
na vo dekhte haiñ na ham dekhte haiñ
tumhārī sī sūrat tumhārī sī sīrat
hasīnoñ ke jamghaT meñ kam dekhte haiñ
nazar kī nazar se hai hasrat bharā dil
nazar bhar ke un ko na ham dekhte haiñ
na mānūñgā jaage kaheñ raat bhar ho
bharī niiñd āñkhoñ meñ ham dekhte haiñ
shab-e-hijr rote guzartī hai 'shabnam'
fanā hī fanā sub.h-dam dekhte haiñ
tere dar pe jalwa jo hum dekhte hain
KHuda ki KHudai mein kam dekhte hain
jo hum shab ko KHwab-e-adam dekhte hain
to har samt sair-e-iram dekhte hain
pas-e-marg KHalwat mein baiThe hain aise
na wo dekhte hain na hum dekhte hain
tumhaari si surat tumhaari si sirat
hasinon ke jamghaT mein kam dekhte hain
nazar ki nazar se hai hasrat bhara dil
nazar bhar ke un ko na hum dekhte hain
na manunga jage kahen raat bhar ho
bhari nind aankhon mein hum dekhte hain
shab-e-hijr rote guzarti hai 'shabnam'
fana hi fana subh-dam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.