tere dar se nikalna yaad aaya
tire dar se nikalnā yaad aaya
musāfir dil ko ye kyā yaad aaya
achānak kho ga.iiñ maazī meñ āñkheñ
koī mānūs chehra yaad aaya
kisī āġhosh kī tahvīl meñ the
sukūñ kā ek lamha yaad aaya
ḳhudā-nā-karda tum ko tanhā chhoḌūñ
kisī lab kā vazīfa yaad aaya
hameñ 'abbās' jis ko bhūlnā thā
vahī ham ko hamesha yaad aayā
tere dar se nikalna yaad aaya
musafir dil ko ye kya yaad aaya
achanak kho gain mazi mein aankhen
koi manus chehra yaad aaya
kisi aaghosh ki tahwil mein the
sukun ka ek lamha yaad aaya
KHuda-na-karda tum ko tanha chhoDun
kisi lab ka wazifa yaad aaya
hamein 'abbas' jis ko bhulna tha
wahi hum ko hamesha yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.