tere dayar se jins-e-muhaal le aae
tire dayār se jins-e-muhāl le aa.e
javāb laane ga.e aur savāl le aa.e
bahut se log koī tujh sā DhūñDne nikle
majāl kis kī jo terī misāl le aa.e
shikārī dekhtā hī rah gayā ba-hairānī
parinde mil ke uḌe aur jaal le aa.e
visāl hijr siyāsat masā.il-e-duniyā
ġhazal meñ ham bhī ye kyā kyā ḳhayāl le aa.e
sitam-zarīfī hai mushkil pasand logoñ kī
daraḳht kaaT na paa.e to chhāl le aa.e
rulā rulā diyā yāroñ ne aaj phir 'āqib'
ġham-e-firāq meñ zikr-e-visāl le aa.e
tere dayar se jins-e-muhaal le aae
jawab lane gae aur sawal le aae
bahut se log koi tujh sa DhunDne nikle
majal kis ki jo teri misal le aae
shikari dekhta hi rah gaya ba-hairani
parinde mil ke uDe aur jal le aae
visal hijr siyasat masail-e-duniya
ghazal mein hum bhi ye kya kya KHayal le aae
sitam-zarifi hai mushkil pasand logon ki
daraKHt kaT na pae to chhaal le aae
rula rula diya yaron ne aaj phir 'aqib'
gham-e-firaq mein zikr-e-visal le aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.