tere didar ki KHatir mah-o-aKHtar jage
tire dīdār kī ḳhātir mah-o-aḳhtar jaage
ye parinde bhī tire hijr meñ aksar jaage
kahīñ jugnū kahīñ taare kahīñ manzar jaage
phir satāne ke liye mujh ko sitamgar jaage
apnī āñkhoñ meñ basā kar ġham-e-hijrāñ kī kasak
kaash tū bhī kabhī mere liye shab bhar jaage
aag aur ḳhuun ke dariyā ko ravānī dene
ḳhūgar-e-zulm jafā-kāroñ ke lashkar jaage
ḳhushbueñ jhuum uThīñ nuur kī barsāt huī
tere aane se bahāroñ ke muqaddar jaage
din kī dahlīz ho yā raat kā āñgan lekin
dil kī dhaḌkan hai ki har-vaqt barābar jaage
kuchh tumhīñ par nahīñ 'aḳhtar' shab-e-furqat kā asar
ham bhī āñkhoñ meñ liye ashkoñ ke kankar jaage
tere didar ki KHatir mah-o-aKHtar jage
ye parinde bhi tere hijr mein aksar jage
kahin jugnu kahin tare kahin manzar jage
phir satane ke liye mujh ko sitamgar jage
apni aankhon mein basa kar gham-e-hijran ki kasak
kash tu bhi kabhi mere liye shab bhar jage
aag aur KHun ke dariya ko rawani dene
KHugar-e-zulm jafa-karon ke lashkar jage
KHushbuen jhum uThin nur ki barsat hui
tere aane se bahaaron ke muqaddar jage
din ki dahliz ho ya raat ka aangan lekin
dil ki dhaDkan hai ki har-waqt barabar jage
kuchh tumhin par nahin 'aKHtar' shab-e-furqat ka asar
hum bhi aankhon mein liye ashkon ke kankar jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.