tere diwane izhaar-e-mohabbat kar nahin sakte
tere diwane izhaar-e-mohabbat kar nahin sakte
Mohammad Abbas Safiir
MORE BYMohammad Abbas Safiir
tire dīvāne iz.hār-e-mohabbat kar nahīñ sakte
mohabbat kar ke tauhīn-e-mohabbat kar nahīñ sakte
ta.alluq ḳhaas hai dil ko ḳhayāl-e-rañj-o-rāhat se
kisī ko ham sharīk-e-ranj-o-rāhat kar nahīñ sakte
jo shaidā haiñ mohabbat ke jo dīvāne haiñ ulfat ke
vo apne dushmanoñ se bhī adāvat kar nahīñ sakte
javāñ haiñ jin ke pahlū meñ ḳhayāl-e-pās ḳhuddārī
zarūrat meñ bhī iz.hār-e-zarūrat kar nahīñ sakte
kiyā īmān taaza qāmat-e-dildār ne aisā
'safīr' ab ham bhī inkār-e-qayāmat kar nahīñ sakte
tere diwane izhaar-e-mohabbat kar nahin sakte
mohabbat kar ke tauhin-e-mohabbat kar nahin sakte
talluq KHas hai dil ko KHayal-e-ranj-o-rahat se
kisi ko hum sharik-e-ranj-o-rahat kar nahin sakte
jo shaida hain mohabbat ke jo diwane hain ulfat ke
wo apne dushmanon se bhi adawat kar nahin sakte
jawan hain jin ke pahlu mein KHayal-e-pas KHuddari
zarurat mein bhi izhaar-e-zarurat kar nahin sakte
kiya iman taza qamat-e-dildar ne aisa
'safir' ab hum bhi inkar-e-qayamat kar nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.