tere ehsas mein jalta diya hun
tire ehsās meñ jaltā diyā huuñ
agar tū aks hai maiñ aa.ina huuñ
sarāb-e-dasht kī sūrat nahīñ maiñ
basīrat kā ubhartā dā.era huuñ
rahī hai gumbad-e-jāñ meñ sadā jo
usī āvāz se lipTā huā huuñ
rifāqat kā guhar hai aisā raushan
maiñ ḳhud apnī nazar se māvarā huuñ
koī āvāz lahrātī hai 'tālib'
maiñ apne aap se jab boltā huuñ
tere ehsas mein jalta diya hun
agar tu aks hai main aaina hun
sarab-e-dasht ki surat nahin main
basirat ka ubharta daera hun
rahi hai gumbad-e-jaan mein sada jo
usi aawaz se lipTa hua hun
rifaqat ka guhar hai aisa raushan
main KHud apni nazar se mawara hun
koi aawaz lahraati hai 'talib'
main apne aap se jab bolta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.