tere firaq ke lamhe guzar hi jaenge
tire firāq ke lamhe guzar hī jā.eñge
kabhī to zaḳhm mire dil ke bhar hī jā.eñge
abhī to josh meñ hai zauq-e-jāda-paimā.ī
kabhī jo hosh meñ aa.e to ghar hī jā.eñge
tirī judā.ī ke lamhe azaab haiñ lekin
tire baġhair bhī ye din guzar hī jā.eñge
ḳhayāl thā ki na aate tumhārī mahfil meñ
ab aa ga.e haiñ to kuchh baat kar hī jā.eñge
azal se duur urūj-o-zavāl qaa.em hai
chaḌhe haiñ aaj jo dariyā utar hī jā.eñge
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb jo nahīñ rakhte
vo ek roz diloñ se utar hī jā.eñge
kuchh aur ai dil-e-muztar baḌhā de zabt kī lau
urūs-e-shām ke gesū sañvar hī jā.eñge
ajab mizāj ke hāmil haiñ ishq ke maare
jidhar hue haiñ vo rusvā udhar hī jā.eñge
'sirāj' shauq sā kyā koī tarjumāñ hogā
ḳhamosh rah ke bhī ham baat kar hī jā.eñge
tere firaq ke lamhe guzar hi jaenge
kabhi to zaKHm mere dil ke bhar hi jaenge
abhi to josh mein hai zauq-e-jada-paimai
kabhi jo hosh mein aae to ghar hi jaenge
teri judai ke lamhe azab hain lekin
tere baghair bhi ye din guzar hi jaenge
KHayal tha ki na aate tumhaari mahfil mein
ab aa gae hain to kuchh baat kar hi jaenge
azal se dur uruj-o-zawal qaem hai
chaDhe hain aaj jo dariya utar hi jaenge
KHayal-e-KHatir-e-ahbab jo nahin rakhte
wo ek roz dilon se utar hi jaenge
kuchh aur ai dil-e-muztar baDha de zabt ki lau
urus-e-sham ke gesu sanwar hi jaenge
ajab mizaj ke hamil hain ishq ke mare
jidhar hue hain wo ruswa udhar hi jaenge
'siraj' shauq sa kya koi tarjuman hoga
KHamosh rah ke bhi hum baat kar hi jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.