tere firaq ke qisse tere visal ke dukh
tire firāq ke qisse tire visāl ke dukh
bhulā na paa.e ham ab tak vo māh-o-sāl ke dukh
tire baġhair hameñ zindagī se kyā lenā
yahī bahut hai jo kaT jaa.eñ tujh kamāl ke dukh
havvā kī beTī huī qatl bhaa.ī ke hāthoñ
koī na samjhegā hīroñ ke māhīvāl ke dukh
vo bachpanā vo mohabbat bhulā.e kab ham ne
vo sūkhe phuul tire ḳhat aur us rūmāl ke dukh
rahe haiñ aaj talak ye mire ta.āqub meñ
tere uruuj kī bāteñ mere zavāl ke dukh
tumhārī ziist meñ 'shākir' kamī rahegī sadā
kabhī bides ke dhakke kabhī nihāl ke dukh
tere firaq ke qisse tere visal ke dukh
bhula na pae hum ab tak wo mah-o-sal ke dukh
tere baghair hamein zindagi se kya lena
yahi bahut hai jo kaT jaen tujh kamal ke dukh
hawwa ki beTi hui qatl bhai ke hathon
koi na samjhega hiron ke mahiwal ke dukh
wo bachpana wo mohabbat bhulae kab hum ne
wo sukhe phul tere KHat aur us rumal ke dukh
rahe hain aaj talak ye mere taaqub mein
tere uruj ki baaten mere zawal ke dukh
tumhaari zist mein 'shakir' kami rahegi sada
kabhi bides ke dhakke kabhi nihaal ke dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.