tere firaq mein yun zindagi sanwar jae
tire firāq meñ yuuñ zindagī sañvar jaa.e
har ek lamha tirī yaad meñ guzar jaa.e
nashāt-e-vasl-o-ġham-e-hijr ke sahāre par
burā hī kyā hai agar zindagī guzar jaa.e
hayāt jism kā jaise uphantā dariyā hai
koī zī-hausla jo ho to paar utar jaa.e
ham us kī maañg meñ sindūr bharne aa.e haiñ
ġham-e-hayāt se kah do zarā sañvar jaa.e
kahīñ to ḳhatm ho ye regzār-e-sūd-o-ziyāñ
kahīñ to aa ke zamāna zarā Thahar jaa.e
'kañval' zarā use ḳhūn-e-jigar se bharne do
ki husn-e-ārzū kuchh aur bhī nikhar jaa.e
tere firaq mein yun zindagi sanwar jae
har ek lamha teri yaad mein guzar jae
nashat-e-wasl-o-gham-e-hijr ke sahaare par
bura hi kya hai agar zindagi guzar jae
hayat jism ka jaise uphanta dariya hai
koi zi-hausla jo ho to par utar jae
hum us ki mang mein sindur bharne aae hain
gham-e-hayat se kah do zara sanwar jae
kahin to KHatm ho ye regzar-e-sud-o-ziyan
kahin to aa ke zamana zara Thahar jae
'kanwal' zara use KHun-e-jigar se bharne do
ki husn-e-arzu kuchh aur bhi nikhar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.