tere gham ke siwa har ek gham na-motabar jaana
tire ġham ke sivā har ek ġham nā-mo'tabar jaanā
hameñ aatā hai tere naam par had se guzar jaanā
ba-īñ-hālāt manzil tak pahuñchnā saḳht mushkil thā
ki jis ne kārvāñ luuTā usī ko rāhbar jaanā
talāsh-e-sub.h-e-nau meñ sa.i-e-lā-hāsil ko kyā kahiye
vo niklī ik shab-e-tīra jise nūr-e-sahar jaanā
vahī be-gāna-e-hosh-o-ḳhirad sābit hue hamdam
vo jin ko dīda-var samjhā jinheñ ahl-e-nazar jaanā
dayār-e-ishq meñ vo bhī maqām aa hī gayā āḳhir
jahāñ sar jhuk gayā apnā tumhārā sang-e-dar jaanā
alam kyā hai ma.āl-e-zīst kā hāsil samajh lenā
ḳhushī kyā hai yahāñ hālāt kā qadre sañvar jaanā
inhoñ ne aabrū rakh lī chaman meñ āshiyāne kī
'qamar' ahl-e-gulistāñ ne jinheñ be-bāl-o-par jaanā
tere gham ke siwa har ek gham na-mo'tabar jaana
hamein aata hai tere nam par had se guzar jaana
ba-in-haalat manzil tak pahunchna saKHt mushkil tha
ki jis ne karwan luTa usi ko rahbar jaana
talash-e-subh-e-nau mein sai-e-la-hasil ko kya kahiye
wo nikli ek shab-e-tira jise nur-e-sahar jaana
wahi be-gana-e-hosh-o-KHirad sabit hue hamdam
wo jin ko dida-war samjha jinhen ahl-e-nazar jaana
dayar-e-ishq mein wo bhi maqam aa hi gaya aaKHir
jahan sar jhuk gaya apna tumhaara sang-e-dar jaana
alam kya hai maal-e-zist ka hasil samajh lena
KHushi kya hai yahan haalat ka qadre sanwar jaana
inhon ne aabru rakh li chaman mein aashiyane ki
'qamar' ahl-e-gulistan ne jinhen be-baal-o-par jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.