tere gham ki jab tak sui chal rahi hai
tire ġham kī jab tak suī chal rahī hai
mirī zindagī kī ghaḌī chal rahī hai
vafā ke safar meñ akelā nahīñ huuñ
mire saath terī kamī chal rahī hai
bahut phuul khilte haiñ āñkhoñ meñ merī
abhī tak purānī namī chal rahī hai
latīfe sunā ai ġhazal chupke-chupke
barābar meñ sanjīdgī chal rahī hai
dhamak ho rahī hai ḳhayāloñ kī chhat par
bahut zor se ḳhāmushī chal rahī hai
qalam ke phisalne se Dar lag rahā hai
mohabbat abhī kāġhazī chal rahī hai
maiñ aayā thā mahfil meñ 'unvān sun kar
kahānī magar dūsrī chal rahī hai
tere gham ki jab tak sui chal rahi hai
meri zindagi ki ghaDi chal rahi hai
wafa ke safar mein akela nahin hun
mere sath teri kami chal rahi hai
bahut phul khilte hain aankhon mein meri
abhi tak purani nami chal rahi hai
latife suna ai ghazal chupke-chupke
barabar mein sanjidgi chal rahi hai
dhamak ho rahi hai KHayalon ki chhat par
bahut zor se KHamushi chal rahi hai
qalam ke phisalne se Dar lag raha hai
mohabbat abhi kaghazi chal rahi hai
main aaya tha mahfil mein 'unwan sun kar
kahani magar dusri chal rahi hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 84)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.