tere gham se dil shadman dekhta hun
tire ġham se dil shādmāñ dekhtā huuñ
tujhe rāhat-e-jāvedāñ dekhtā huuñ
zamāne kī bargashtagī kā ye 'ālam
ki har shai ko dāman-kashāñ dekhtā huuñ
kabhī bijliyāñ raunaq-e-gulsitāñ thiiñ
shajar aaj be-āshiyāñ dekhtā huuñ
kabhī apnī māyūsiyoñ par qanā'at
kabhī jānib-e-āsmāñ dekhtā huuñ
kabhī ḳhaak kī rif'atoñ par nazar hai
kabhī charḳh kī pastiyāñ dekhtā huuñ
ik andāz-e-vāraftagī hai na pūchho
kise dekhtā huuñ kahāñ dekhtā huuñ
mohabbat kā adnā tasarruf hai 'hirmāñ'
jahāñ maiñ nahīñ huuñ vahāñ dekhtā huuñ
tere gham se dil shadman dekhta hun
tujhe rahat-e-jawedan dekhta hun
zamane ki bargashtagi ka ye 'alam
ki har shai ko daman-kashan dekhta hun
kabhi bijliyan raunaq-e-gulsitan thin
shajar aaj be-ashiyan dekhta hun
kabhi apni mayusiyon par qana'at
kabhi jaanib-e-asman dekhta hun
kabhi KHak ki rif'aton par nazar hai
kabhi charKH ki pastiyan dekhta hun
ek andaz-e-waraftagi hai na puchho
kise dekhta hun kahan dekhta hun
mohabbat ka adna tasarruf hai 'hirman'
jahan main nahin hun wahan dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.