tere ghamon se ibarat hai ab KHushi meri
tire ġhamoñ se ibārat hai ab ḳhushī merī
guzar rahī hai salīqe se zindagī merī
kabhī jo zarra-e-ḳhākī kā koī zikr chhiḌā
nigāh uTh ke sitāroñ pe jam ga.ī merī
ye aur baat ki jiine kā lutf aa na sakā
tire baġhair bhī guzrī hai zindagī merī
vo kaif hai ki ab aapā bhī koī hosh nahīñ
ye kis maqām pe laa.ī hai be-ḳhudī merī
palak palak pe sitāre saje hue haiñ 'ziyā'
ye un kā husn-e-nazar hai ki raushnī merī
tere ghamon se ibarat hai ab KHushi meri
guzar rahi hai saliqe se zindagi meri
kabhi jo zarra-e-KHaki ka koi zikr chhiDa
nigah uTh ke sitaron pe jam gai meri
ye aur baat ki jine ka lutf aa na saka
tere baghair bhi guzri hai zindagi meri
wo kaif hai ki ab aapa bhi koi hosh nahin
ye kis maqam pe lai hai be-KHudi meri
palak palak pe sitare saje hue hain 'ziya'
ye un ka husn-e-nazar hai ki raushni meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.