tere ghurur ka huliya bigaD Dalunga
tire ġhurūr kā huliya bigāḌ Dālūñgā
maiñ aaj terā garebān phaaḌ Dālūñgā
tarah tarah ke shagūfe jo chhoḌtā hai tū
maiñ dil kā bāġh-e-numū hī ujaaḌ Dālūñgā
kahāñ kā sail-e-ajal tā-kinār-gāh-e-īd
maiñ huuñ adam meñ sabhī ko latāḌ Dālūñgā
bahut adā se tū guzrā hai chashma-sāroñ se
ye sun ki raah meñ terī maiñ baaḌ Dālūñgā
shaguftagī kī tirī yaad jo dilāte haiñ
maiñ aise saare hī paudhe ukhāḌ Dālūñgā
ye tai kiyā hai ki dariyā-e-mauj-mastī ko
sarāb-e-dasht-e-tapīdā meñ gaaḌ Dālūñgā
tamām naqsh-e-tamannā fareb the so the
maiñ saare naqsh-e-tamannā bigāḌ Dālūñgā
jo rishta hai dil-e-jāñ kā hai sar-ba-sar jhūTā
sau maiñ to ab dil-o-jāñ meñ darāḌ Dālūñgā
jhanDole bāloñ kī pur-fitna us se kah denā
maiñ is kamīn ko zinda hī gaaḌ Dālūñgā
mujhe to ab use dañggal meñ ganda karnā hai
sau maiñ use bure hāloñ pachhāḌ Dālūñgā
tere ghurur ka huliya bigaD Dalunga
main aaj tera gareban phaD Dalunga
tarah tarah ke shagufe jo chhoDta hai tu
main dil ka bagh-e-numu hi ujaD Dalunga
kahan ka sail-e-ajal ta-kinar-gah-e-id
main hun adam mein sabhi ko lataD Dalunga
bahut ada se tu guzra hai chashma-saron se
ye sun ki rah mein teri main baD Dalunga
shaguftagi ki teri yaad jo dilate hain
main aise sare hi paudhe ukhaD Dalunga
ye tai kiya hai ki dariya-e-mauj-masti ko
sarab-e-dasht-e-tapida mein gaD Dalunga
tamam naqsh-e-tamanna fareb the so the
main sare naqsh-e-tamanna bigaD Dalunga
jo rishta hai dil-e-jaan ka hai sar-ba-sar jhuTa
sau main to ab dil-o-jaan mein daraD Dalunga
jhanDole baalon ki pur-fitna us se kah dena
main is kamin ko zinda hi gaD Dalunga
mujhe to ab use danggal mein ganda karna hai
sau main use bure haalon pachhaD Dalunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.