tere ghurur mere zabt ka sawal raha
tire ġhurūr mire zabt kā savāl rahā
bikhar bikhar ke tujhe chāhnā kamāl rahā
vahīñ pe Dūbnā ārām se huā mumkin
jahāñ pe mauj-o-safīne meñ e'tidāl rahā
nahīñ ki shaam Dhale tum na lauTte lekin
tumhārī raah meñ sūraj hī lā-zavāl rahā
phir apnā haath kaleje pe rakh liyā ham ne
phir us ke paañv kī aahaT kā ehtimāl rahā
tere ghurur mere zabt ka sawal raha
bikhar bikhar ke tujhe chahna kamal raha
wahin pe Dubna aaram se hua mumkin
jahan pe mauj-o-safine mein e'tidal raha
nahin ki sham Dhale tum na lauTte lekin
tumhaari rah mein suraj hi la-zawal raha
phir apna hath kaleje pe rakh liya hum ne
phir us ke panw ki aahaT ka ehtimal raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.