tere hath pe kheton ki miTTi mera motiyon wala jama
tire haath pe khetoñ kī miTTī mirā motiyoñ vaalā jaama
kal chunte hue sarsoñ tū ne kyuuñ merā dāman thāmā
isrār na kar zid chhoḌ sakhī jaatī huuñ piyā se milne
le bāñdh kalā.ī par gajre le Daal gale meñ naama
vahī aa ke birāje āñgan meñ vahī saaje naddī ke taT par
vahī bhaiñseñ charā.e bailoñ meñ vahī charvāhā vahī kaamā
aurāq sajan sanjog kathā idrāk svayamvar sakhiyāñ
kavirāj tum apnī kavitā kā ban-bās rakho sarnāma
kahīñ ghūñghaT ke paT kanhā.ī kahīñ bastī meñ rusvā.ī
kahīñ hoñT kī khoñT pe murlī kī dhun kahīñ hirdai meñ hangāma
tere hath pe kheton ki miTTi mera motiyon wala jama
kal chunte hue sarson tu ne kyun mera daman thama
israr na kar zid chhoD sakhi jati hun piya se milne
le bandh kalai par gajre le Dal gale mein nama
wahi aa ke biraje aangan mein wahi saje naddi ke taT par
wahi bhainsen charae bailon mein wahi charwaha wahi kaama
auraq sajan sanjog katha idrak swayamwar sakhiyan
kawiraj tum apni kawita ka ban-bas rakho sarnama
kahin ghunghaT ke paT kanhai kahin basti mein ruswai
kahin honT ki khonT pe murli ki dhun kahin hirdai mein hangama
- Book : Ban Baas (Pg. 201)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.