tere hathon mein jab ho hath to ham-zor lagta hai
tire hāthoñ meñ jab ho haath to ham-zor lagtā hai
magar jab saath chalnā ho mirā kyuuñ zor lagtā hai
mohabbat ke mazāhib meñ suno donoñ hī kāfir haiñ
tirā īmāñ mujhe merā tujhe kamzor lagtā hai
asar kuchh hādsoñ kā yuuñ paḌā merī samā.at par
kisī kā dhīmā lahja bhī mujhe ab shor lagtā hai
suno insān jo insāniyat se duur rahtā ho
mujhe insāñ nahīñ lagtā vo ādam-ḳhor lagtā hai
hamāre do diloñ ke darmiyāñ sarhad hai nafrat kī
vagarna saath amaritsar hī ke lahore lagtā hai
ye jis shohrat ko tum izzat gañvā kar mo'atabar samjhe
ki izzat ko kamāne meñ suno ik daur lagtā hai
ġhazal saarī hī terī Thiik hai apnī jagah lekin
mujhe matle.a kā saanī bas zarā kamzor lagtā hai
hunar hai aap kā dil jiit lenā jhūTī bātoñ se
'razī' sachchī sunātā hai tabhī muñh-zor lagtā hai
tere hathon mein jab ho hath to ham-zor lagta hai
magar jab sath chalna ho mera kyun zor lagta hai
mohabbat ke mazahib mein suno donon hi kafir hain
tera iman mujhe mera tujhe kamzor lagta hai
asar kuchh hadson ka yun paDa meri samaat par
kisi ka dhima lahja bhi mujhe ab shor lagta hai
suno insan jo insaniyat se dur rahta ho
mujhe insan nahin lagta wo aadam-KHor lagta hai
hamare do dilon ke darmiyan sarhad hai nafrat ki
wagarna sath amaritsar hi ke lahore lagta hai
ye jis shohrat ko tum izzat ganwa kar mo'atabar samjhe
ki izzat ko kamane mein suno ek daur lagta hai
ghazal sari hi teri Thik hai apni jagah lekin
mujhe matlea ka sani bas zara kamzor lagta hai
hunar hai aap ka dil jit lena jhuTi baaton se
'razi' sachchi sunata hai tabhi munh-zor lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.