tere hi sath mere yar hai meri duniya
tire hī saath mire yaar hai mirī duniyā
tire baġhair to be-kār hai mirī duniyā
nasha sharāb kā bilkul mujhe pasand nahīñ
surūr-e-ishq se sarshār hai mirī duniyā
dikhā.ī dete nahīñ un ko mere vīrāne
vo sochte haiñ ki gulzār hai mirī duniyā
maiñ nafrateñ meñ rahūñgā to mar hī jā.ūñgā
ye merī duniyā nahīñ pyaar hai mirī duniyā
tujhe bhī ilm hai 'ulfat' ki sirf din haiñ mire
har ek raat to bāzār hai mirī duniyā
tere hi sath mere yar hai meri duniya
tere baghair to be-kar hai meri duniya
nasha sharab ka bilkul mujhe pasand nahin
surur-e-ishq se sarshaar hai meri duniya
dikhai dete nahin un ko mere virane
wo sochte hain ki gulzar hai meri duniya
main nafraten mein rahunga to mar hi jaunga
ye meri duniya nahin pyar hai meri duniya
tujhe bhi ilm hai 'ulfat' ki sirf din hain mere
har ek raat to bazar hai meri duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.