tere hijr ne jo sitam kiya koi dekhta
tire hijr ne jo sitam kiyā koī dekhtā
mirī vahshateñ mirā ratjagā koī dekhtā
kisī adh-khule se kivāḌ meñ baḌe shauq se
kabhī sub.h-dam koī jhāñktā koī dekhtā
kisī dūsre kā vo ho gayā maiñ khaḌā rahā
mirī bebasī mirā hausla koī dekhtā
koī pālkī to guzar ga.ī thī 'umair' jī
magar us ghaḌī mirā dekhnā koī dekhtā
tere hijr ne jo sitam kiya koi dekhta
meri wahshaten mera ratjaga koi dekhta
kisi adh-khule se kiwaD mein baDe shauq se
kabhi subh-dam koi jhankta koi dekhta
kisi dusre ka wo ho gaya main khaDa raha
meri bebasi mera hausla koi dekhta
koi palki to guzar gai thi 'umair' ji
magar us ghaDi mera dekhna koi dekhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.