tere honTon mein kya bijli chhupi hai
tire hoñToñ meñ kyā bijlī chhupī hai
badan meñ raushnī sī bhar ga.ī hai
sabhī apne badan meñ chhup rahe haiñ
gharoñ meñ kuchh 'ajab sī be-gharī hai
ijāzat ho to ḳhud ko pesh kar duuñ
tirī rātoñ meñ sūraj kī kamī hai
mile ham yuuñ to pahlī baar lekin
lagā aisā purānī dostī hai
badal jaatā hai ab har roz chehra
mirī tasvīr kaisī ho ga.ī hai
mire hāthoñ meñ hai ḳhushbū kā paikar
badan meñ aag sī kyoñ lag rahī hai
ba-nām-e-zindagi 'jamshed' ab to
koī anjān sī shai rah ga.ī hai
tere honTon mein kya bijli chhupi hai
badan mein raushni si bhar gai hai
sabhi apne badan mein chhup rahe hain
gharon mein kuchh 'ajab si be-ghari hai
ijazat ho to KHud ko pesh kar dun
teri raaton mein suraj ki kami hai
mile hum yun to pahli bar lekin
laga aisa purani dosti hai
badal jata hai ab har roz chehra
meri taswir kaisi ho gai hai
mere hathon mein hai KHushbu ka paikar
badan mein aag si kyon lag rahi hai
ba-nam-e-zindagi 'jamshed' ab to
koi anjaan si shai rah gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.