tere honTon se dupaTTe ke sarakne ki qasam
tire hoñToñ se dupaTTe ke sarakne kī qasam
dil ne chāhā hai tujhe dil ke dhaḌakne kī qasam
raat guzre hai sulagte hue sho.aloñ pe kahīñ
terī be-tāb javānī ke sulagne kī qasam
dil bhī Duube hī chalā jaatā hai sūraj kī tarah
din ke Dhalne pe parindoñ ke taḌapne kī qasam
ḳhushbū sāñsoñ meñ samā.ī hai tirī sāñsoñ kī
sehn-e-gulshan meñ gulāboñ ke mahakne kī qasam
jhilmilātā hai tirā aks mire ashkoñ meñ
chāñd rātoñ meñ chakorī ke machalne kī qasam
chain paḌtā hī nahīñ tere sivā dam bhar ko
terī chāhat ke rag-o-pai meñ utarne kī qasam
din guzartā hī nahīñ raat Thahar jaatī hai
duur pardes meñ 'rāmiz' ke sisakne kī qasam
tere honTon se dupaTTe ke sarakne ki qasam
dil ne chaha hai tujhe dil ke dhaDakne ki qasam
raat guzre hai sulagte hue shoalon pe kahin
teri be-tab jawani ke sulagne ki qasam
dil bhi Dube hi chala jata hai suraj ki tarah
din ke Dhalne pe parindon ke taDapne ki qasam
KHushbu sanson mein samai hai teri sanson ki
sehn-e-gulshan mein gulabon ke mahakne ki qasam
jhilmilata hai tera aks mere ashkon mein
chand raaton mein chakori ke machalne ki qasam
chain paDta hi nahin tere siwa dam bhar ko
teri chahat ke rag-o-pai mein utarne ki qasam
din guzarta hi nahin raat Thahar jati hai
dur pardes mein 'ramiz' ke sisakne ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.