tere husn-e-nazar ka ye bhi ek eajaz hai saqi
tire husn-e-nazar kā ye bhī ik e.ajāz hai saaqī
ki har mai-kash zamīñ par āsmāñ parvāz hai saaqī
ḳhayāl itnā rahe bas apne sāġhar kī pilāne meñ
tirā anjām hai saaqī mirā āġhāz hai saaqī
kahīñ bāham-digar Takrā na jaa.eñ sāġhar-o-mīnā
mai-e-sa-josh is dam mā.il-e-parvāz hai saaqī
jabīn-e-shauq sajda kar kahāñ kā pās-e-rusvā.ī
ḳhushā-vaqte ki sargarm-e-ḳhirām-e-nāz hai saaqī
idhar bhī ik nazar o sab kī jānib dekhne vaale
ki ik riñd-e-ḳharābātī nazar-andāz hai saaqī
kareñ tauba to dil bechain agar pī leñ to rusvā.ī
ajab uljhan meñ apnī mai-kashī kā raaz hai saaqī
sharāb-e-arġhavānī bhī piyūñ maiñ ḳhud to paanī hai
pilā.e tū jo paanī bāda-e-shīrāz hai saaqī
pas-e-tauba mujhe piine meñ āḳhir kyoñ ta.ammul ho
ba-hamdillāh dar-e-tauba abhī tak baaz hai saaqī
vo kyoñ jaane lagā dair-o-haram kī Thokareñ khāne
tire 'afqar' ko tere mai-kade par naaz hai saaqī
tere husn-e-nazar ka ye bhi ek eajaz hai saqi
ki har mai-kash zamin par aasman parwaz hai saqi
KHayal itna rahe bas apne saghar ki pilane mein
tera anjam hai saqi mera aaghaz hai saqi
kahin baham-digar Takra na jaen saghar-o-mina
mai-e-sa-josh is dam mail-e-parwaz hai saqi
jabin-e-shauq sajda kar kahan ka pas-e-ruswai
KHusha-waqte ki sargarm-e-KHiram-e-naz hai saqi
idhar bhi ek nazar o sab ki jaanib dekhne wale
ki ek rind-e-KHarabaati nazar-andaz hai saqi
karen tauba to dil bechain agar pi len to ruswai
ajab uljhan mein apni mai-kashi ka raaz hai saqi
sharab-e-arghawani bhi piyun main KHud to pani hai
pilae tu jo pani baada-e-shiraaz hai saqi
pas-e-tauba mujhe pine mein aaKHir kyon tammul ho
ba-hamdillah dar-e-tauba abhi tak baz hai saqi
wo kyon jaane laga dair-o-haram ki Thokaren khane
tere 'afqar' ko tere mai-kade par naz hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.