tere iltifat ki baat thi teri be-ruKHi ke gile na the
tire iltifāt kī baat thī tirī be-ruḳhī ke gile na the
tujhe shāyad us kī ḳhabar to ho ki hamāre hoñT sile na the
kisī ahl-e-dard se pochhiye zarā is chaman kā mo.āmla
vo chaman ki fasl-e-bahār meñ bhī jahāñ pe phuul khile na the
ye rah-e-talab kī masāfateñ kahīñ ḳhaar hai kahīñ daar hai
sar-e-kū-e-yār khaḌe the yuuñ ki qadam hamāre hile na the
bhalā arz-e-ġham se guzar ke bhī kabhī tum se koī gila kiyā
ye junūn-e-ishq ke tazkire to mirī vafā ke sile na the
jo adū ko bazm huī to kyā vo kuchh is tarah haiñ gurez-pā
kisī raah meñ kisī moḌ par kabhī jaise ham se mile na the
tere iltifat ki baat thi teri be-ruKHi ke gile na the
tujhe shayad us ki KHabar to ho ki hamare honT sile na the
kisi ahl-e-dard se pochhiye zara is chaman ka moamla
wo chaman ki fasl-e-bahaar mein bhi jahan pe phul khile na the
ye rah-e-talab ki masafaten kahin KHar hai kahin dar hai
sar-e-ku-e-yar khaDe the yun ki qadam hamare hile na the
bhala arz-e-gham se guzar ke bhi kabhi tum se koi gila kiya
ye junun-e-ishq ke tazkire to meri wafa ke sile na the
jo adu ko bazm hui to kya wo kuchh is tarah hain gurez-pa
kisi rah mein kisi moD par kabhi jaise hum se mile na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.