tere jaane ka dil ko gham nahin hai
tire jaane kā dil ko ġham nahīñ hai
ye kah duuñ tujh se mujh meñ dam nahīñ hai
ziyāda hai jo mujh meñ hai ziyāda
jo mujh meñ kam hai vo kuchh kam nahīñ hai
kasak hai hijr kī jo chāhiye bhī
magar terā koī mātam nahīñ hai
hamesha to nahīñ nikleñge aañsū
hamārī aañkh to zamzam nahīñ hai
vo chehra zaḳhm hai bas zaḳhm hai ab
vo chehra ab mirā marham nahīñ hai
'ajab hairat meñ vo kahtī hai sab se
ye laḌkā mujh se kyoñ barham nahīñ hai
tere jaane ka dil ko gham nahin hai
ye kah dun tujh se mujh mein dam nahin hai
ziyaada hai jo mujh mein hai ziyaada
jo mujh mein kam hai wo kuchh kam nahin hai
kasak hai hijr ki jo chahiye bhi
magar tera koi matam nahin hai
hamesha to nahin niklenge aansu
hamari aankh to zamzam nahin hai
wo chehra zaKHm hai bas zaKHm hai ab
wo chehra ab mera marham nahin hai
'ajab hairat mein wo kahti hai sab se
ye laDka mujh se kyon barham nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.