tere jalwe tere hijab ko meri hairaton se numu mili
tere jalwe tere hijab ko meri hairaton se numu mili
Mukhtar Siddiqui
MORE BYMukhtar Siddiqui
tire jalve tere hijāb ko merī hairatoñ se numū milī
ki thā shab se din kabhī tīra-tar kabhī shab hī ā.ina-rū milī
tirī qurbatoñ se bhī kyā huā tirī dūriyoñ kā to kyā gila
vo maqām maiñ hī na pā sakā mujhe jis maqām pe tū milī
vo havāoñ hī se baras paḌe vo tirī nigah se chhalak uThe
koī be-ḳhudī na hameñ milī ki jo be-niyāz-e-subū milī
vo ho fasl-e-gul ki fazā-e-dil jo milā kahīñ to junūñ milā
magar ik ḳhirad hī na mil sakī jo milī to sarf-e-rafū milī
tere jalwe tere hijab ko meri hairaton se numu mili
ki tha shab se din kabhi tira-tar kabhi shab hi aaina-ru mili
teri qurbaton se bhi kya hua teri duriyon ka to kya gila
wo maqam main hi na pa saka mujhe jis maqam pe tu mili
wo hawaon hi se baras paDe wo teri nigah se chhalak uThe
koi be-KHudi na hamein mili ki jo be-niyaz-e-subu mili
wo ho fasl-e-gul ki faza-e-dil jo mila kahin to junun mila
magar ek KHirad hi na mil saki jo mili to sarf-e-rafu mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.