tere jalwon mein gum ho kar nishan baqi nahin rahta
tire jalvoñ meñ gum ho kar nishāñ baaqī nahīñ rahtā
nishāñ kaisā ki hastī kā gumāñ baaqī nahīñ rahtā
mohabbat meñ nizām-e-jism-o-jāñ baaqī nahīñ rahtā
ye vo manzil hai jis meñ kārvāñ baaqī nahīñ rahtā
kaheñ sayyād kyā ham us chaman ke rahne vaale haiñ
bahāroñ meñ gulistāñ tak jahāñ baaqī nahīñ rahtā
miTā de apnī hastī imtihāñ-gāh-e-mohabbat meñ
ki is ke baad koī imtihāñ baaqī nahīñ rahtā
tajallī terī jab hotī hai mahv-e-jalva-ārā.ī
to phir jalvoñ se koī āstāñ baaqī nahīñ rahtā
vahāñ pahuñchā diyā soz-e-ġham-e-pinhāñ ne ab ham ko
ki ġham minjumla-e-umr-e-ravāñ baaqī nahīñ rahtā
ab us manzil pe le aa.ī hai merī be-ḳhudī mujh ko
jahāñ farq-e-makāñ-o-lā-makāñ baaqī nahīñ rahtā
mire ā.īna-e-dil kī haqīqat pūchhne vaale
yahāñ aa kar koī rāz-e-nihāñ baaqī nahīñ rahtā
vo duniyā ho lahad ho yā qayāmat ho ki mahshar ho
ġham-e-a.amāl kā ronā kahāñ baaqī nahīñ rahtā
sadā aatī hai rātoñ ko yahī gor-e-ġharībāñ se
charāġh-e-sarhad-e-manzil yahāñ baaqī nahīñ rahtā
bhulā detī hai terī yaad yād-e-mā-sivā dil se
tire hote ḳhayāl-e-dīgarāñ baaqī nahīñ rahtā
jabīn-e-shauq jhuk bhī jā kahāñ kā pās-e-rusvā.ī
ki phir qurb-e-jabīn-o-āstāñ baaqī nahīñ rahtā
mujhe hairat unheñ shikva jabīn-e-shauq sargardāñ
ki sang-e-dar pe sajdoñ kā nishāñ baaqī nahīñ rahtā
jahāñ insāniyat kā ḳhuun ho jazbāt kī rau meñ
vahāñ me.ār-e-taḳhlīq-e-jahāñ baaqī nahīñ rahtā
shahīdān-e-mohabbat kī ajab duniyā hai ai 'afqar'
jahāñ zikr-e-hayāt-e-jāvedāñ baaqī nahīñ rahtā
tere jalwon mein gum ho kar nishan baqi nahin rahta
nishan kaisa ki hasti ka guman baqi nahin rahta
mohabbat mein nizam-e-jism-o-jaan baqi nahin rahta
ye wo manzil hai jis mein karwan baqi nahin rahta
kahen sayyaad kya hum us chaman ke rahne wale hain
bahaaron mein gulistan tak jahan baqi nahin rahta
miTa de apni hasti imtihan-gah-e-mohabbat mein
ki is ke baad koi imtihan baqi nahin rahta
tajalli teri jab hoti hai mahw-e-jalwa-arai
to phir jalwon se koi aastan baqi nahin rahta
wahan pahuncha diya soz-e-gham-e-pinhan ne ab hum ko
ki gham minjumla-e-umr-e-rawan baqi nahin rahta
ab us manzil pe le aai hai meri be-KHudi mujh ko
jahan farq-e-makan-o-la-makan baqi nahin rahta
mere aaina-e-dil ki haqiqat puchhne wale
yahan aa kar koi raaz-e-nihan baqi nahin rahta
wo duniya ho lahad ho ya qayamat ho ki mahshar ho
gham-e-amal ka rona kahan baqi nahin rahta
sada aati hai raaton ko yahi gor-e-ghariban se
charagh-e-sarhad-e-manzil yahan baqi nahin rahta
bhula deti hai teri yaad yaad-e-ma-siwa dil se
tere hote KHayal-e-digaran baqi nahin rahta
jabin-e-shauq jhuk bhi ja kahan ka pas-e-ruswai
ki phir qurb-e-jabin-o-astan baqi nahin rahta
mujhe hairat unhen shikwa jabin-e-shauq sargardan
ki sang-e-dar pe sajdon ka nishan baqi nahin rahta
jahan insaniyat ka KHun ho jazbaat ki rau mein
wahan mear-e-taKHliq-e-jahan baqi nahin rahta
shahidan-e-mohabbat ki ajab duniya hai ai 'afqar'
jahan zikr-e-hayat-e-jawedan baqi nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.