tere jamal ka partaw mere bayan mein kahan
tire jamāl kā partav mire bayāñ meñ kahāñ
vo dilkashī mirī be-rabt dāstāñ meñ kahāñ
kahāñ vo phuul jinheñ zīnat-e-chaman kahiye
harī bharī koī ab shāḳh gulsitāñ meñ kahāñ
sukūn-e-dil kī talab kis jagah mujhe laa.ī
sukūn-e-dil bhalā is shahr-e-be-amāñ meñ kahāñ
ḳhud apne ghar kā pata pūchhnā paḌā mujh ko
bahak kar aa gayā ujḌe hue makāñ meñ kahāñ
vo rut ga.ī mirī dīvāngī kī umr ke saath
bahār jaisī fazā mausam-e-ḳhizāñ meñ kahāñ
koī talab na koī aarzū na koī havas
ye be-niyāzī-e-fitrat bhī ins-o-jāñ meñ kahāñ
uThā.e phirtā hai kyoñ bojh zindagī kā 'asar'
sakat ab itnī tire jism-e-nā-tavāñ meñ kahāñ
tere jamal ka partaw mere bayan mein kahan
wo dilkashi meri be-rabt dastan mein kahan
kahan wo phul jinhen zinat-e-chaman kahiye
hari bhari koi ab shaKH gulsitan mein kahan
sukun-e-dil ki talab kis jagah mujhe lai
sukun-e-dil bhala is shahr-e-be-aman mein kahan
KHud apne ghar ka pata puchhna paDa mujh ko
bahak kar aa gaya ujDe hue makan mein kahan
wo rut gai meri diwangi ki umr ke sath
bahaar jaisi faza mausam-e-KHizan mein kahan
koi talab na koi aarzu na koi hawas
ye be-niyazi-e-fitrat bhi ins-o-jaan mein kahan
uThae phirta hai kyon bojh zindagi ka 'asar'
sakat ab itni tere jism-e-na-tawan mein kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.