tere jamal se hum runuma nahin hue hain
tire jamāl se ham rūnumā nahīñ hue haiñ
chamak rahe haiñ magar aa.ina nahīñ hue haiñ
dhaḌak rahā hai tū ik ism kī hai ye barakat
vagarna vāqiye is dil meñ kyā nahīñ hue haiñ
batā na paa.eñ to ḳhud tum samajh hī jaao ki ham
bilā javāz to be-mājrā nahīñ hue haiñ
tirā kamāl ki āñkhoñ meñ kuchh zabān pe kuchh
hameñ to mo.ajize aise atā nahīñ hue haiñ
ye mat samajh ki koī tujh se munharif hī nahīñ
abhī ham ahl-e-junūñ lab-kushā nahīñ hue haiñ
ba-nām-e-zauq-e-suḳhan ḳhud-numā.ī aap kareñ
ham is maraz meñ abhī mubtalā nahīñ hue haiñ
hamī vo jin kā safar māvarā-e-vaqt-o-vajūd
hamī vo ḳhud se kabhī jo rihā nahīñ hue haiñ
ḳhud-āgahī bhī khaḌī māñgtī hai apnā hisāb
junūñ ke qarz bhī ab tak adā nahīñ hue haiñ
kisī ne dil jo dukhāyā kabhī to ham 'irfān'
udaas ho ga.e lekin ḳhafā nahīñ hue haiñ
tere jamal se hum runuma nahin hue hain
chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain
dhaDak raha hai tu ek ism ki hai ye barakat
wagarna waqiye is dil mein kya nahin hue hain
bata na paen to KHud tum samajh hi jao ki hum
bila jawaz to be-majra nahin hue hain
tera kamal ki aankhon mein kuchh zaban pe kuchh
hamein to moajize aise ata nahin hue hain
ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin
abhi hum ahl-e-junun lab-kusha nahin hue hain
ba-nam-e-zauq-e-suKHan KHud-numai aap karen
hum is maraz mein abhi mubtala nahin hue hain
hami wo jin ka safar mawara-e-waqt-o-wajud
hami wo KHud se kabhi jo riha nahin hue hain
KHud-agahi bhi khaDi mangti hai apna hisab
junun ke qarz bhi ab tak ada nahin hue hain
kisi ne dil jo dukhaya kabhi to hum 'irfan'
udas ho gae lekin KHafa nahin hue hain
- Book : Takrar-e-imkaa.n (Pg. 97)
- Author : Irfan Sattar
- Publication : Dehleez Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.