tere kanon mein gunji kya meri aawaz jaan-e-man
tire kānoñ meñ gūñjī kyā mirī āvāz jān-e-man
maiñ rotā huuñ tabī.at hai bahut nā-sāz jān-e-man
balā ke dukh uThāte haiñ tire ik kun ke maare ham
ye kun hai saare dukh kā nuqta-e-āġhāz jān-e-man
tirī zulfoñ kī ḳhushbū se havā bhī raqs kartī hai
tujhī se hai havā ko quvvat-e-parvāz jān-e-man
na mujh ko rone detā hai na mujh ko marne detā hai
mirī murshid to hai kitnā daḳhl-andāz jān-e-man
ḳhudā kā āsmāñ ham ko hamesha taktā rahtā hai
kareñge āsmāñ ko ham nazar-andāz jān-e-man
munāfiq ek saf meñ sab sar-e-mahshar khaḌe hoñge
kiyā hai jin ne duniyā meñ tumheñ nārāz jān-e-man
mirī vahshat katartī hai mire jīvan ke pal har roz
hai vahshat zindagī kī yaar kyoñ miqrāz jān-e-man
tumhīñ bas bāteñ kartī thiiñ añdherī rātoñ meñ mujh se
mirī dīvār kamre kī mirī ham-rāz jān-e-man
tere kanon mein gunji kya meri aawaz jaan-e-man
main rota hun tabiat hai bahut na-saz jaan-e-man
bala ke dukh uThate hain tere ek kun ke mare hum
ye kun hai sare dukh ka nuqta-e-aghaz jaan-e-man
teri zulfon ki KHushbu se hawa bhi raqs karti hai
tujhi se hai hawa ko quwwat-e-parwaz jaan-e-man
na mujh ko rone deta hai na mujh ko marne deta hai
meri murshid to hai kitna daKHl-andaz jaan-e-man
KHuda ka aasman hum ko hamesha takta rahta hai
karenge aasman ko hum nazar-andaz jaan-e-man
munafiq ek saf mein sab sar-e-mahshar khaDe honge
kiya hai jin ne duniya mein tumhein naraaz jaan-e-man
meri wahshat katarti hai mere jiwan ke pal har roz
hai wahshat zindagi ki yar kyon miqraaz jaan-e-man
tumhin bas baaten karti thin andheri raaton mein mujh se
meri diwar kamre ki meri ham-raaz jaan-e-man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.