tere karam ne wo diwangi ata ki hai
tere karam ne wo diwangi ata ki hai
Mohammad Ishaq Afsar Afaqi
MORE BYMohammad Ishaq Afsar Afaqi
tire karam ne vo dīvāngī atā kī hai
ki jis ne terī hī tash.hīr jā-ba-jā kī hai
abhī se aap kī āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
abhī to maiñ ne fasāne kī ibtidā kī hai
rahe to ham rahe dār-o-rasan ke dīvāne
hamīñ ne parvarish-e-jazba-e-anā kī hai
adā-shanās-e-mohabbat ko haq hai jiine kā
hayāt hai to dil-e-dard-āshnā kī hai
jabīñ ko juzv-e-dar-e-yār karke chhoḌ diyā
namāz maiñ ne adā kī to yuuñ adā kī hai
huzūr apnā safīna na Dūbtā hargiz
yaqīn kījiye sāzish ye nāḳhudā kī hai
junūn-e-sajda-tarāzī meñ kis ko hosh 'afsar'
kahāñ namāz paḌhī aur kab duā kī hai
tere karam ne wo diwangi ata ki hai
ki jis ne teri hi tashhir ja-ba-ja ki hai
abhi se aap ki aankhon mein aa gae aansu
abhi to main ne fasane ki ibtida ki hai
rahe to hum rahe dar-o-rasan ke diwane
hamin ne parwarish-e-jazba-e-ana ki hai
ada-shanas-e-mohabbat ko haq hai jine ka
hayat hai to dil-e-dard-ashna ki hai
jabin ko juzw-e-dar-e-yar karke chhoD diya
namaz main ne ada ki to yun ada ki hai
huzur apna safina na Dubta hargiz
yaqin kijiye sazish ye naKHuda ki hai
junun-e-sajda-taraazi mein kis ko hosh 'afsar'
kahan namaz paDhi aur kab dua ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.