tere karam se teri be-ruKHi se kya lena
tire karam se tirī be-ruḳhī se kyā lenā
mire ḳhulūs-e-vafā ko kisī se kyā lenā
sukūn-e-qalb na āsā.ish-e-hayāt nasīb
ye zindagī hai to is zindagī se kyā lenā
tū apnī vaz.a ko rusvā-e-arz-e-hāl na kar
kisī ko tere ġham-e-be-basī se kyā lenā
ḳharāb-e-zīst huuñ lekin tirī ḳhushī ke sivā
tire nisār mujhe zindagī se kyā lenā
tū merī ḳhū-e-mohabbat badal nahīñ saktā
zamāne mujh ko tirī be-ruḳhī se kyā lenā
sitam hai dam jo mirī dostī kā bharte the
vo kah rahe haiñ tirī dostī se kyā lenā
hamīd asl meñ ik ġham ko hai sabāt yahāñ
jise davām nahīñ us ḳhushī se kyā lenā
tere karam se teri be-ruKHi se kya lena
mere KHulus-e-wafa ko kisi se kya lena
sukun-e-qalb na aasaish-e-hayat nasib
ye zindagi hai to is zindagi se kya lena
tu apni waza ko ruswa-e-arz-e-haal na kar
kisi ko tere gham-e-be-basi se kya lena
KHarab-e-zist hun lekin teri KHushi ke siwa
tere nisar mujhe zindagi se kya lena
tu meri KHu-e-mohabbat badal nahin sakta
zamane mujh ko teri be-ruKHi se kya lena
sitam hai dam jo meri dosti ka bharte the
wo kah rahe hain teri dosti se kya lena
hamid asl mein ek gham ko hai sabaat yahan
jise dawam nahin us KHushi se kya lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.