tere KHayal ka kuchh bhi pata nahin paDta
tere KHayal ka kuchh bhi pata nahin paDta
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
tire ḳhayāl kā kuchh bhī pata nahīñ paḌtā
yahāñ to chāroñ taraf dā.era nahīñ paḌtā
ham ehtiyāt se ḳhvāboñ ko maar dete agar
hamārī aañkh meñ ye aabla nahīñ paḌtā
ajiib raah paḌī hai ki is ke aage ab
kisī bhī samt koī rāsta nahīñ paḌtā
hamāre ḳhvāb kī ta.abīr ho ga.ī hotī
kisī meñ aur koī sochnā nahīñ paḌtā
vo rāh-e-ishq meñ dāḳhil nahīñ hue hoñge
jo bolte haiñ vahāñ hādisa nahīñ paḌtā
girah to roz hī paḌ jaatī hai ḳhayāloñ meñ
mire mizāj kā par zāviya nahīñ paḌtā
tamām umr tumhīñ tum likhe ga.e hote
hamārī soch meñ gar hāshiya nahīñ paḌtā
tere KHayal ka kuchh bhi pata nahin paDta
yahan to chaaron taraf daera nahin paDta
hum ehtiyat se KHwabon ko mar dete agar
hamari aankh mein ye aabla nahin paDta
ajib rah paDi hai ki is ke aage ab
kisi bhi samt koi rasta nahin paDta
hamare KHwab ki tabir ho gai hoti
kisi mein aur koi sochna nahin paDta
wo rah-e-ishq mein daKHil nahin hue honge
jo bolte hain wahan hadisa nahin paDta
girah to roz hi paD jati hai KHayalon mein
mere mizaj ka par zawiya nahin paDta
tamam umr tumhin tum likhe gae hote
hamari soch mein gar hashiya nahin paDta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.