tere KHayal ko bhi fursat-e-KHayal nahin
tire ḳhayāl ko bhī fursat-e-ḳhayāl nahīñ
judā.ī hijr nahīñ hai milan visāl nahīñ
mire vajūd meñ aisā samā gayā koī
ġham-e-zamāna nahīñ fikr-e-māh-o-sāl nahīñ
use yaqīn ke sūraj se hī ubharnā hai
vo sail-e-vahm meñ bahtā huā jamāl nahīñ
dahak uThe mire aariz mahak uThīñ sāñseñ
phir aur kyā hai agar ye tirā ḳhayāl nahīñ
na-jāne kitne jahāñ muntazir haiñ tere liye
tire uruuj kī pahle kahīñ misāl nahīñ
tere KHayal ko bhi fursat-e-KHayal nahin
judai hijr nahin hai milan visal nahin
mere wajud mein aisa sama gaya koi
gham-e-zamana nahin fikr-e-mah-o-sal nahin
use yaqin ke suraj se hi ubharna hai
wo sail-e-wahm mein bahta hua jamal nahin
dahak uThe mere aariz mahak uThin sansen
phir aur kya hai agar ye tera KHayal nahin
na-jaane kitne jahan muntazir hain tere liye
tere uruj ki pahle kahin misal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.