tere KHayal ko mauj-e-rawan banate hue
tire ḳhayāl ko mauj-e-ravāñ banāte hue
maiñ pāniyoñ pe chalī kashtiyāñ banāte hue
mire vajūd ke sāhil pe ḳhvāb bunte haiñ
tumhāre haath shab-e-mehrbāñ banāte hue
tumhāre saath rifāqat ke ḳhvāb buntī huuñ
maiñ tā.eroñ ke liye āshiyāñ banāte hue
zamīñ se itnī mohabbat hai mujh ko maiñ har pal
zamīñ banātī rahī āsmāñ banāte hue
rah-e-vafā meñ tirī bevafā.ī kī had tak
maiñ dhuup dhuup huī sā.ebāñ banāte hue
tere KHayal ko mauj-e-rawan banate hue
main paniyon pe chali kashtiyan banate hue
mere wajud ke sahil pe KHwab bunte hain
tumhaare hath shab-e-mehrban banate hue
tumhaare sath rifaqat ke KHwab bunti hun
main taeron ke liye aashiyan banate hue
zamin se itni mohabbat hai mujh ko main har pal
zamin banati rahi aasman banate hue
rah-e-wafa mein teri bewafai ki had tak
main dhup dhup hui saeban banate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.