tere KHayal mein dil aaj sogwar sa hai
Interesting Fact
1949
tire ḳhayāl meñ dil aaj sogvār sā hai
mujhe gumān hai kuchh us ko intizār sā hai
maiñ sāda-dil thā ki dāman pe un ke ro bhī diyā
magar guloñ ke diloñ meñ abhī ġhubār sā hai
vo mo'atabar to nahīñ hai par is ko kyā kiije
ki us ke va.adoñ pe phir aaj e.atibār sā hai
maiñ tujh se ramz-e-mohabbat kahūñ to kaise kahūñ
maiñ be-qarār huuñ aur tujh ko kuchh qarār sā hai
tujhī pe kuchh nahīñ mauqūf ai dil-e-mahrūm
jahāñ bhī dekhiye aalam meñ intishār sā hai
tū hosh-mand kahāñ kā thā kuchh to kah 'mas.ūd'
ye kyā hai aaj tujhe dil ye iḳhtiyār sā hai
tere KHayal mein dil aaj sogwar sa hai
mujhe guman hai kuchh us ko intizar sa hai
main sada-dil tha ki daman pe un ke ro bhi diya
magar gulon ke dilon mein abhi ghubar sa hai
wo mo'atabar to nahin hai par is ko kya kije
ki us ke wadon pe phir aaj eatibar sa hai
main tujh se ramz-e-mohabbat kahun to kaise kahun
main be-qarar hun aur tujh ko kuchh qarar sa hai
tujhi pe kuchh nahin mauquf ai dil-e-mahrum
jahan bhi dekhiye aalam mein intishaar sa hai
tu hosh-mand kahan ka tha kuchh to kah 'masud'
ye kya hai aaj tujhe dil ye iKHtiyar sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.