tere KHayal se baDh kar KHayal kya hoga
tire ḳhayāl se baḌh kar ḳhayāl kyā hogā
tū jis ke dil meñ hai us ko malāl kyā hogā
bhulā diyā thā jahāñ bhar ko terī qurbat meñ
kabhī na sochā ki furqat meñ haal kyā hogā
ḳhudā ke vasl se nāseh nahīñ ġharaz ham ko
visāl-e-yār se baḌh kar visāl kyā hogā
nigāh-e-husn se ahd-e-vafā jo zāhir hai
to kahiye ishq ke lab par savāl kyā hogā
balā kā husn hai hūroñ pe shaiḳh jī lekin
jamāl-e-yār se baḌh kar jamāl kyā hogā
chhalak paḌe haiñ ka.ī jaam tere aane par
tū be-naqāb ho saaqī to haal kyā hogā
tasavvurāt-e-iram ḳhuub haiñ magar 'nirdosh'
dayār-e-yār se baḌh kar kamāl kyā hogā
tere KHayal se baDh kar KHayal kya hoga
tu jis ke dil mein hai us ko malal kya hoga
bhula diya tha jahan bhar ko teri qurbat mein
kabhi na socha ki furqat mein haal kya hoga
KHuda ke wasl se naseh nahin gharaz hum ko
visal-e-yar se baDh kar visal kya hoga
nigah-e-husn se ahd-e-wafa jo zahir hai
to kahiye ishq ke lab par sawal kya hoga
bala ka husn hai huron pe shaiKH ji lekin
jamal-e-yar se baDh kar jamal kya hoga
chhalak paDe hain kai jam tere aane par
tu be-naqab ho saqi to haal kya hoga
tasawwuraat-e-iram KHub hain magar 'nirdosh'
dayar-e-yar se baDh kar kamal kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.