tere KHayal se dilchaspiyan banate hain
tire ḳhayāl se dilchaspiyāñ banāte haiñ
varaq pe dil ke chalo titliyāñ banāte haiñ
safar hayāt kā behad hasīn guzregā
ham e'tibār kī pagDanDiyāñ banāte haiñ
maiñ jāntā huuñ ye dariyā nahīñ hai sahrā hai
to ret par hī chalo machhliyāñ banāte haiñ
uThā hī lī hai jo dīvār tum ne āñgan meñ
to bhaa.ī is meñ chalo khiḌkiyāñ banāte haiñ
khulegā is tarah qismat kā band darvāza
tapā ke azm ko ham chābiyāñ banāte haiñ
vo dauḌne kā tasavvur bhī kar nahīñ sakte
jo apne zehn meñ baisākhiyāñ banāte haiñ
hamārī raah meñ hotī hai jo kabhī haa.il
usī chaTān se ab sīḌhiyāñ banāte haiñ
tere KHayal se dilchaspiyan banate hain
waraq pe dil ke chalo titliyan banate hain
safar hayat ka behad hasin guzrega
hum e'tibar ki pagDanDiyan banate hain
main jaanta hun ye dariya nahin hai sahra hai
to ret par hi chalo machhliyan banate hain
uTha hi li hai jo diwar tum ne aangan mein
to bhai is mein chalo khiDkiyan banate hain
khulega is tarah qismat ka band darwaza
tapa ke azm ko hum chabiyan banate hain
wo dauDne ka tasawwur bhi kar nahin sakte
jo apne zehn mein baisakhiyan banate hain
hamari rah mein hoti hai jo kabhi hail
usi chaTan se ab siDhiyan banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.