tere KHayal se fursat jo umr bhar na hui
tire ḳhayāl se fursat jo umr bhar na huī
kab apne aap se guzre hameñ ḳhabar na huī
nahīñ ki terī tavajjoh kabhī idhar na huī
mujhe savāl kī jur.at hī umr bhar na huī
ba-qaid-e-hosh mohabbat azaab dīda-o-dil
jigar kā ḳhuun to kyā jur.at-e-nazar na huī
sahar ke naam pe bazm-e-nashāt kī barham
charāġh ham ne bujhā.e magar sahar na huī
tajalliyoñ ne diye saiñkaḌoñ fareb magar
asīr-e-dām mirī shoḳhī-e-nazar na huī
ufuq ke paar ujāle haiñ sub.h-e-sādiq ke
ham intizār meñ baiThe rahe sahar na huī
vatan kī ḳhaak se aatī hai bū-e-ḳhūñ paiham
ki paak rāhzanoñ se ye rahguzar na huī
tere KHayal se fursat jo umr bhar na hui
kab apne aap se guzre hamein KHabar na hui
nahin ki teri tawajjoh kabhi idhar na hui
mujhe sawal ki jurat hi umr bhar na hui
ba-qaid-e-hosh mohabbat azab dida-o-dil
jigar ka KHun to kya jurat-e-nazar na hui
sahar ke nam pe bazm-e-nashat ki barham
charagh hum ne bujhae magar sahar na hui
tajalliyon ne diye sainkaDon fareb magar
asir-e-dam meri shoKHi-e-nazar na hui
ufuq ke par ujale hain subh-e-sadiq ke
hum intizar mein baiThe rahe sahar na hui
watan ki KHak se aati hai bu-e-KHun paiham
ki pak rahzanon se ye rahguzar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.