tere KHilaf ho jo bhi wo kaamyab na ho
tire ḳhilāf ho jo bhī vo kāmyāb na ho
ḳhudā kare tujhe ulfat meñ iztirāb na ho
mire udhār se ḳhā.if hai tū bhī piine lage
jahāñ-jahāñ bhī tū DhūñDe vahāñ sharāb na ho
mire ḳhudā tire bande ne kuchh nahīñ paayā
jo ab dikhāyā hai tū ne vo sirf ḳhvāb na ho
ḳhudā kare ki na.ī nasl sher kahne lage
ḳhudā kare ki na.ī nasl ye ḳharāb na ho
maiñ thak gayā huuñ kamīnoñ kī ḳhair-ḳhvāhī meñ
maiñ aise kaam karūñgā ki ab savāb na ho
maiñ raat ḳhvāb meñ kuchh DhūñDhtā rahā 'sābir'
sabhī hoñ phuul mayassar magar gulāb na ho
tere KHilaf ho jo bhi wo kaamyab na ho
KHuda kare tujhe ulfat mein iztirab na ho
mere udhaar se KHaif hai tu bhi pine lage
jahan-jahan bhi tu DhunDe wahan sharab na ho
mere KHuda tere bande ne kuchh nahin paya
jo ab dikhaya hai tu ne wo sirf KHwab na ho
KHuda kare ki nai nasl sher kahne lage
KHuda kare ki nai nasl ye KHarab na ho
main thak gaya hun kaminon ki KHair-KHwahi mein
main aise kaam karunga ki ab sawab na ho
main raat KHwab mein kuchh DhunDhta raha 'sabir'
sabhi hon phul mayassar magar gulab na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.