tere KHwabon mein Dhalta ja raha hai
tire ḳhvāboñ meñ Dhaltā jā rahā hai
mirā chehra badaltā jā rahā hai
tujhe to rok rakkhā hai kisī ne
magar ye din ki Dhaltā jā rahā hai
akelī to nahīñ huuñ maiñ safar meñ
vo mere saath chaltā jā rahā hai
dhanak miTTī meñ ghultī jā rahī hai
vo bārish meñ pighaltā jā rahā hai
tere KHwabon mein Dhalta ja raha hai
mera chehra badalta ja raha hai
tujhe to rok rakkha hai kisi ne
magar ye din ki Dhalta ja raha hai
akeli to nahin hun main safar mein
wo mere sath chalta ja raha hai
dhanak miTTi mein ghulti ja rahi hai
wo barish mein pighalta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.