tere lahje ka ye farman hai jaanan
tire lahje kā ye farmān hai jānāñ
judā hone kā kuchh imkān hai jānāñ
agarche bevafā hī hai magar phir bhī
kisī bechāre kī vo jaan hai jānāñ
bahut se rang haiñ is ishq ke tere
kabhī kāñTe kabhī gul-dān hai jānāñ
kahīñ ġhalatī se bhī paaoñ na paḌ jaa.eñ
mohabbat ek qabristān hai jānāñ
bachā kyā hai sabhī kuchh kah rahī hai ye
tire hoñToñ pe jo muskān hai jānāñ
faqat kapḌoñ pe us ke tum nahīñ jaanā
vo shā.ir hī nahīñ sultān hai jānāñ
tere lahje ka ye farman hai jaanan
juda hone ka kuchh imkan hai jaanan
agarche bewafa hi hai magar phir bhi
kisi bechaare ki wo jaan hai jaanan
bahut se rang hain is ishq ke tere
kabhi kanTe kabhi gul-dan hai jaanan
kahin ghalati se bhi paon na paD jaen
mohabbat ek qabristan hai jaanan
bacha kya hai sabhi kuchh kah rahi hai ye
tere honTon pe jo muskan hai jaanan
faqat kapDon pe us ke tum nahin jaana
wo shair hi nahin sultan hai jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.